Wednesday 25 October 2017

अंकल हो गए

बगीचों के कौतूहल कब सूखे पत्तों के जंगल  हो गए
हम भी जाने कैसे कब भईया से फिर अंकल हो गए

लिबास जो हुआ करती थी कभी बस जीन्स और टी शर्ट
जाने कब कंधों पे टिके कॉलर फिर कम्बल हो गए

कुछ दिन गुज़र गए, कुछ गुज़र रहे,  कुछ गुज़रने वाले हैं
बदलते वक्त में कैसे शक्ल पर झुर्रियों के दंगल हो गए

सनीचर और इतवार की शोखियाँ भी तेवर बदलती रहीं
सब दिन एक ही तरह जैसे के सोम, बुद्ध, मंगल हो गए

मोहम्मद नईम

Wednesday 14 December 2016

BE NISBAT

jaane kis raah k kis modh per kisko kaun mil jaaye
jaane kis ghadi phir mere haathon se mera dil jaaye

ehteraam kar un lamhon ka jo tujhe zindagi se ata hai
kya khabar kis waqt per kisi tarah ki koi mushqil aaye

uski nazar mein shayad insaan main mukammal nahi
is pash-o-pesh mein jaane mujh tak kitne gaafil aaye

joojh raha hoon is pal main nisbaton k sailaabon mein
kisi tinke k sahaare hi sahi mujh tak koi saahil aaye

kuch be-markaz sa teri mehfil mein main shareeq hoon
woh bhi meri vareed mein lahoo ki tarah daakhil paaye

Sunday 27 November 2016

EK AUR SAFAR

tapti dhoop ki chubhan se bachne k liye pedhon ki chhaon tak chal
khud ba khud apni manzil k liye tu fir se apne paaon tak chal

un fursat k lamhon ki pyaas mujhe be-sukoon hi katl kar degi
us se panaah k liye tu sheher chodh kar fir se gaaon tak chal

daud raha be-fizool tu maghrib se mushriq tak chand dirham k liye
kabhi masjid kabhi miskin ki taraf kamaane keemti duaaon tak chal

jal kar jhulas gaya hai tu jo harsraton aur ummeedon ki aag mein
us tapish ko bujhaane k liye tu fir befikr si hawaaon tak chal

Monday 2 April 2012

FITOOR

hasratein dil ki toot k choor kyun hai
haalaton k giraft mein haunsla majboor kyun hai

khwaabon ka haqeeqat hona mumkin nahi
teri duniya mein aakhir aisa dastoor kyun hai

jisko apne dil k kareeb karne ki tamanna liye hoon
woh shaqs aaj meri nigaahon se door kyun hai

koshishein jazbe k bagair kamyaab hoti nahi
shikast-e-khauff ka usko ye fitoor kyun hai

Monday 12 September 2011

USKI KHABAR

uski khabar phir se ab mujh tak toh aaye
is dil k dayaar per uski dastak toh aaye

gulshan ki khushbu se dam ghutne sa laga
ab meri saanson mein uski mehak toh aaye

judaai ki sard aahon se nafs jo jamne si lagi hai
us k aane se thamti dhadkan fir se dhadak toh jaaye

us k bagair ye hosh bhi kuch bekhabar sa hai
woh aa bhi jaaye toh ye zehen do pal behak toh jaaye

Tuesday 23 August 2011

LA ILAAJ

ya toh ye dawa hi kuch beasar sa hai
ya phir mujhe apne marz ki khabar nahi

.....................to be continued

Sunday 27 February 2011

TALAB

phir tumse guftugu ki talab hui hai
jaane ye aarzoo kaise kab hui hai

kufr kar raha hoon kaafir ki tarah
woh maashooqa se jaise rab hui hai

kaisi taaleem se taaleemyaafta hoon
nigaahon k harf ki nayi adab hui hai

na jee raha hoon na mar raha hoon
zindagi tu bhi kaisi gazab hui hai