Sunday 28 March 2010

IS REHGUZAR KA SAFAR

Is rehguzar ka safar kahaan tak
Shayad zameen se aasmaan tak

Chingaari raakh tale sulagti rahi
Hawaon mein aakhri dhuaan tak

Kuch alfaaz dafn ho k reh gaye
Dil se ho k aate aate zubaan tak

Waqt aur taqdeer saath na rahe toh
Raqeeb ho jaate hain rehnumaan tak

dil k jazbaat zaahir na ho nayeem
mita chalo un k aakhri nishaan tak

Thursday 18 March 2010

BADGUMAAN DIL

dil kuch badgumaa sa hai
jaise k koi rehnumaa sa hai

gaafil hai haqeeqat k pehlu se
mausam abhi khushnumaa sa hai

hai ye qurbat bhi ek hijr ki tarah
k kuch faasla ab bhi darmiyaan sa hai

log meri mayyat mein yun shaamil hue
jaise k din aaj ka jumaa sa hai

Saturday 13 March 2010

EK AUR MARZ

ummeed ki vaslehat khushiyon se inkaar mein nahi
zindagi jeene ka maza maut k intezaar mein nahi

khamosh sa har guzarte lamhe ko dekhta hoon
jaise k kuch bhi ab mere ikhtiyaar mein nahi

teri dehleez k siwa is dil ko kahin sukoon nahi
k aisi taufeeq kisi aur dar-o-dayaar mein nahi

khud ka marz khud hi ab shafa kar nayeem
k iska ilaaj bhi kisi aur charahgaar mein nahi

Monday 8 March 2010

BAATEIN ANKAHI

Kuch baatein ankahi bhi kabhi kabhi suni hui si lagti hai
Kuch fasaane haqeeqat k dhaagon se buni hui si lagti hai

Aur in chadaron mein khud ko chupa k rakhne ki chahat
Aksar kisi fakir k pehlu mein kabhi dhuni hui si lagti hai

Is awaaz k peeche main khud ko bhagta hua paata hoon
Jaise khwahishon mein iski hasrat chuni hui si lagti hai

Phir meri haanpti saasein aur bedam si hoti dhadkanein
Is duniya ko shayad humesha hi ansuni hui si lagti hai