Friday 7 May 2010

EK AJEEB KOSHISH

zameen se thoda uper aur aasmaan se thoda neeche
nakaamyaabi se zara aagey kamyaabi k thoda peeche

dil mein ufante leher se khwahishon k ehsaas ko
kabhi thoda sa chodein kabhi thoda sa kheenche

haar bhi jaayein agar toh usse haunsla jeetein
koshishon se ummeed ko mutthiyon mein bheenche

zindagi ki raah phir shayad thodi aasaan si hogi
jo muskura kar iski banjar si zameen ko seenche

jeene ka saleeka doosron ko zindagi de kar mila
k is sukoon se roshan hue zeheneeyat k gareeche

Thursday 6 May 2010

MANN MAYURA

mann mayura thhak raha badal ghanghor
aankhein dekhti is oar toh kabhi us oar

garajti hui ghata aur chamakti si bijli
us per phir chalte hue pawan ka shor

vyaakul hriday ek kwahish sanjoti rahi
ki rimjhim boondein barsein is chhor

saath baarish k baadal bhi kheench loon
agar bana loon amber se dharti tak dor

haule haule tapakti motiyon si boondein
ye mausam ban raha dharti ka sirmaur

harshit ho kar nritya mein magn hoon
samast vatavaran hua aanand vibhor

Wednesday 5 May 2010

JUNG-E-ZINDAGI

zindagi jaise ke ik jung si aur woh ek sipaahi hai
manzil ki talaash mein bhatakta hua woh raahi hai

kuch adhoori hasratein dilon ko kachot si rahi hai
kyunki har aarzoo ko mukammal karne ki manaahi hai

aansuon ki boondein khushiyon ki kabhi ghamon ki
rooh ko bhar rahi hai jaise ki woh ek suraahi hai

koshishein rehti hain ki kar loon sabr ko haasil
belgaam khwahishein hi dard hain aur tabaahi hai

Saturday 1 May 2010

PAANI

paani behti jaati hai
paani pyaas bujhaati hai

aankhon se ho kar
mann ko halka kar jaati hai

kabhi ye ban k nadi
kinaaron ko milaati hai

kabhi baadalon se ho kar
zameen per baras jaati hai

aur in baarishon se phir
khet mein fasal lehlahaati hai

yahi saagar bhi hai jahaan
seep mein dhal k moti ban jaati hai

yehi kashtiyaan, nao aur jahaaz ko
dariya se manzil tak pahunchaati hai

kabhi sard barf hai kabhi garm bhaap
ye har shai mein khud dhal jaati hai

ye jharna bhi hai sailaab bhi hai
kabhi dilkash kabhi maut ban jaati hai

paani iska koi rang nahi roop nahi
phir bhi zindagi ka zariya kehlaati hai

paani iski har boond ki keemat hai
kisi kisi ko hi ye samajh mein aati hai

paani ki har boond bahumulya hai, aur jeevan ki raksha k liye jal sanrakshan ati avashyak hai (Water Conservation is very very important, so conserve water to preserve life)