Wednesday 14 December 2016

BE NISBAT

jaane kis raah k kis modh per kisko kaun mil jaaye
jaane kis ghadi phir mere haathon se mera dil jaaye

ehteraam kar un lamhon ka jo tujhe zindagi se ata hai
kya khabar kis waqt per kisi tarah ki koi mushqil aaye

uski nazar mein shayad insaan main mukammal nahi
is pash-o-pesh mein jaane mujh tak kitne gaafil aaye

joojh raha hoon is pal main nisbaton k sailaabon mein
kisi tinke k sahaare hi sahi mujh tak koi saahil aaye

kuch be-markaz sa teri mehfil mein main shareeq hoon
woh bhi meri vareed mein lahoo ki tarah daakhil paaye

Sunday 27 November 2016

EK AUR SAFAR

tapti dhoop ki chubhan se bachne k liye pedhon ki chhaon tak chal
khud ba khud apni manzil k liye tu fir se apne paaon tak chal

un fursat k lamhon ki pyaas mujhe be-sukoon hi katl kar degi
us se panaah k liye tu sheher chodh kar fir se gaaon tak chal

daud raha be-fizool tu maghrib se mushriq tak chand dirham k liye
kabhi masjid kabhi miskin ki taraf kamaane keemti duaaon tak chal

jal kar jhulas gaya hai tu jo harsraton aur ummeedon ki aag mein
us tapish ko bujhaane k liye tu fir befikr si hawaaon tak chal