Thursday 24 June 2010

AUR KYA

hanso aur muskura k apne dil ko behlao aur kya
aarzuein karo or kuch khwaabon ko sajao aur kya

kuch mere ishq ko dil k kareeb mehsoos karo
aur kuch apni muhabbat humko batao aur kya

do kadam aap mere saath ho kar chalo
mujhe jeene ki ek nayi raaah dikhaao aur kya

kuch tumhaari nazron ki zubaan ko padhoon
aur mujhko zindagi ka maksad samjhao aur kya

Monday 21 June 2010

BEHROOPIYA

apni zindagi mein jo mera khud ka dakhl hai
ek ajeeb sa chehra hai kuch ajeeb shakl hai

kayi kirdaar mere is zindagi per haavi hain
ye kuch bhool sa gaya hoon jo wajood asl hai

khud ko samajhne ki koshishein nakaam rahin
kuch toh dil bedard hai kuch soch be akl hai

jaan k bhi kyun main haqeeqat se anjaan hoon
hijaab mein choopa hua hai jo chehra asl hai

jo mujh per ye nematein aur rehmatein hain
yakeen hai is zindagi mein khuda ka fazl hai

jo sahi hain woh khwaahishein mukammal hain
aur apne hi haathon kuch aarzuon ka katl hai

DARAKHTON KI CHHAON MEIN

darakhton ki chhaon mein
main apne puraane gaon mein

suraj ki narm dhoop mein
khushbu bhari hawaaon mein

oonche parvaton ko choote hue
kaaley ghane ghataaon mein

zara khud se zyaada kareeb
apne dil ki duaaon mein

manzil k kuch aur nazdeek
nayi taaqat hai ab paaon mein

mukammal honge har khwaab
ek junoon hai ashaaon mein

aur inqalaab ki mashaal hai
har dabi hui ichchao mein

SATRANGI SUBAH

ek satrangi subah phir se sehra mein ubhar rahi hai
baarish k boondon se ho k zameen per bikhar rahi hai

baadalon k darmiyaan kehkashaan ki raushaniyon mein
ummeed ki ghataon tale nayi zindagi nikhar rahi hai

ab toh waqt bhi tham sa raha hai do pal ye soch kar
jaise k is sama k aagey phir koi rehguzar nahi hai

main ab aaj ki kurbat mein kal ko bhoola raha hoon
lag raha hai k ab mujhe nakaamiyon ka darr nahi hai

phir anjaam ka silsila chaahe kuch bhi kyun na ho
ek sukoon mein mubtila hoon kal ki khabar nahi hai

Friday 4 June 2010

CHAAHATEIN !

koi chaahta hai yahaan ishq aur pyaar karna
mohabbat ki bandishon mein giraftaar karna

ye aarzooein kahin ehsaas ko jhulsa na dein
waqt rehte khwaahishon per ikhtiyaar karna

koi khwaabon mein aa k neend chura leta hai
haqeeqat aur fareb k darmiyaan deewaar karna

ye suna hai k ummeed pe duniya qaayam hai
lekin jhooti tasalliyon ko darkinaar karna

duniya k diye hue zakhmon ko bharne k liye
apne aashiyaan ko kabhi charahgaar karna

ye sach hai k taqdeer saath nahi deti hai
dekho kismat per kabhi bhi na aitbaar karna

jo musaafir hai uska toh har lamha safar hai
aise shaqs ka na raah takna na intezaar karna

Tuesday 1 June 2010

ZINDAGI !

zindagi! tujhe jeene ki naseehat koi hogi
joh jee na sakengey toh fazeehat koi hogi

tu kabhi fareb si hai kabhi khwaab si hai
shaayad kisi aur k liye haqeeqat koi hogi

dil ko tujh per yakeen dilaaoon toh kaise
mujh ko nahi kisi aur ko aqeedat koi hogi

thokaron se seekha hai maine sambhalna
kisi aur per kitaabon ki tarbeeyat koi hogi

main mashgool hun badgumaaniyon mein
is duniya k liye aur ki shakseeyat koi hogi