koi chaahta hai yahaan ishq aur pyaar karna
mohabbat ki bandishon mein giraftaar karna
ye aarzooein kahin ehsaas ko jhulsa na dein
waqt rehte khwaahishon per ikhtiyaar karna
koi khwaabon mein aa k neend chura leta hai
haqeeqat aur fareb k darmiyaan deewaar karna
ye suna hai k ummeed pe duniya qaayam hai
lekin jhooti tasalliyon ko darkinaar karna
duniya k diye hue zakhmon ko bharne k liye
apne aashiyaan ko kabhi charahgaar karna
ye sach hai k taqdeer saath nahi deti hai
dekho kismat per kabhi bhi na aitbaar karna
jo musaafir hai uska toh har lamha safar hai
aise shaqs ka na raah takna na intezaar karna
Friday, 4 June 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
bahut hi accha...
ReplyDeletekya baat hai shayr ji aapne to kamal kar diya
"jo musaafir hai uska toh har lamha safar hai
aise shaqs ka na raah takna na intezaar karna"
wah! wah!