Thursday, 30 December 2010

EK EHSAAS

in sard sard hawaon se jism mein ik sihran si hai
kuch teri qurbat k aagosh mein dil ki dhadkan bhi hai

ru ba ru izhar karoon ya khamoshi ikhtiyaar karoon
zehen-o-khayaal mein kuch is tarah ki uljhan bhi hai

ye suna rakha hai maine k ishq ik aag ka dariya hai
magar kisi k chahat ki mehek se dil gulshan bhi hai

kehte hain k umr beet gayi muhabbat ko smajhne mein
aur phir kabhi kabhi ye ehsaas jaise daffatan bhi hai

DIL BEZUBAAN HUA

us k lab ne jo na kaha us ki nigaahon ne bayaan kiya
apne khayaalon ko meri tanhaaiyon ka paasbaan kiya

woh dil ka sukoon bhi aur dil ki bekaraari bhi wahi
uski chaahat ne mujh ko har kadam per hairaan kiya

dard-o-gham uski qurbat mein ek naya ehsaas de gaye
us ne khushiyaon ko meri zindagi ka nigehbaan kiya

ab jo woh bhi jaanne lage hain is dil k har raaz ko
humne zubaan ko khamosh aur nigaahon ko bezubaan kiya

Thursday, 23 December 2010

NAZAR-E-INAYAT

uski nazron se shayad woh awaaz aati rahi
meri mohabbat ko ik naya agaaz dikhaati rahi

us se meri khushiyon mein izaafa hota raha
aur woh mere ghamon se aitraaz jataati rahi

ishq jaane kaise zindagi mein shaamil hua
uski wafa kuch is tarah andaaz dikhaati rahi

uski paakeezgi zehen mein yun utarti gayi
woh ban k dua mere har namaaz mein aati rahi