Sunday, 27 November 2016

EK AUR SAFAR

tapti dhoop ki chubhan se bachne k liye pedhon ki chhaon tak chal
khud ba khud apni manzil k liye tu fir se apne paaon tak chal

un fursat k lamhon ki pyaas mujhe be-sukoon hi katl kar degi
us se panaah k liye tu sheher chodh kar fir se gaaon tak chal

daud raha be-fizool tu maghrib se mushriq tak chand dirham k liye
kabhi masjid kabhi miskin ki taraf kamaane keemti duaaon tak chal

jal kar jhulas gaya hai tu jo harsraton aur ummeedon ki aag mein
us tapish ko bujhaane k liye tu fir befikr si hawaaon tak chal