mere gham ka sabab wahi aur wahi khushi ki wajah
mere har waqt mein shaamil, raat wahi, wahi subah
dhadkanon k dastak se saason ki dehleez tak chala
uski talaash mein ye zindagi ka kaafila har jagah
haqeeqat aur fareb k darmiyaan khwabon ka silsila
is kashmakash se khud ko nijaad dilaaoon kis tarah
dil ka zakhm bhi wahi aur wahi rooh ka marham bhi
woh mere sukoon ka zariya, wahi har gham ki dawah
Wednesday, 1 September 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
kisi ko kis tarah rulaya jaye yah koi tumse sikhe dost.
ReplyDeletenice poem
ye toh muskuraane k liye hai ashq chalkaane k liye nahi dost ;)
ReplyDelete