Monday, 12 September 2011

USKI KHABAR

uski khabar phir se ab mujh tak toh aaye
is dil k dayaar per uski dastak toh aaye

gulshan ki khushbu se dam ghutne sa laga
ab meri saanson mein uski mehak toh aaye

judaai ki sard aahon se nafs jo jamne si lagi hai
us k aane se thamti dhadkan fir se dhadak toh jaaye

us k bagair ye hosh bhi kuch bekhabar sa hai
woh aa bhi jaaye toh ye zehen do pal behak toh jaaye

Tuesday, 23 August 2011

LA ILAAJ

ya toh ye dawa hi kuch beasar sa hai
ya phir mujhe apne marz ki khabar nahi

.....................to be continued

Sunday, 27 February 2011

TALAB

phir tumse guftugu ki talab hui hai
jaane ye aarzoo kaise kab hui hai

kufr kar raha hoon kaafir ki tarah
woh maashooqa se jaise rab hui hai

kaisi taaleem se taaleemyaafta hoon
nigaahon k harf ki nayi adab hui hai

na jee raha hoon na mar raha hoon
zindagi tu bhi kaisi gazab hui hai

Sunday, 2 January 2011

WOH NAHI AAYA

woh nahi aaya jiska intezaar tha
jis k khwaabon mein dil giraftaar tha

aakhri saans tak ummeed baaqi rahi
uski chaahat per khud se zyaada aitbaar tha

shayad se kismat ki hi bewafaai thi
k mera taqdeer per bhi na ikhtiyaar tha

us k dehleez tak ka raasta bhi na mila
main jis taraf tha jaane kaun sa dayaar tha