Sunday 2 January 2011

WOH NAHI AAYA

woh nahi aaya jiska intezaar tha
jis k khwaabon mein dil giraftaar tha

aakhri saans tak ummeed baaqi rahi
uski chaahat per khud se zyaada aitbaar tha

shayad se kismat ki hi bewafaai thi
k mera taqdeer per bhi na ikhtiyaar tha

us k dehleez tak ka raasta bhi na mila
main jis taraf tha jaane kaun sa dayaar tha

1 comment:

  1. Humm samajh me nahin aaya koun nahin aaya aur kiska intzaar tha. Are baba jo aaya hi nahin wah tumhare liye hai hi nahin aur jo hoga wah achanak se samne aa jayga aur tumhne khabar hi nahin hogi. All the best :)

    ReplyDelete