Wednesday, 10 February 2010

INTEZAAR

ek intezar zindagi k shuru se khatm hone tak
khushiyon mein izafa aur gham k kam hone tak

phir khaamosh zubaan k alfaazon se nikal kar
kuch pathrai hui si nigaahon k nam hone tak

joh zinda buton k saaye mein kaafir ho gaya
us kufr ka phir ek mazhab ek dharm hone tak

sunte hain ki dard hadh se badh kar dawa hai
aur fir se is haqeeqat ka ek bharam hone tak

4 comments:

  1. bhavnatmak kavita...
    aapki kavitayen hridy ki gahraiyon tak utar jati hai..
    is jajsbe ko banaye rakhe.
    Roshani

    ReplyDelete
  2. i like u so much..............then tm se related hr chezz mujhy pasand ha......tc

    ReplyDelete