Thursday, 29 April 2010

YEH ZINDAGI !

ye zindagi hai ek khwaab si
ek sawaab si aur ek azaab si

ek gulistaan si ek baghbaan si
kahin kaanton si kahin gulaab si

kabhi hoton k muskurahat si
aur kabhi aansuon k sailaab si

kabhi kabhi ye ek sazaa bhi hai
aur kabhi zindagi ek khitaab hai

kuch nafa si kuch nuksaan si
jaise k tijaarat k hisaab si

kabhi andheron mein shama si
aur kabhi din mein aaftaab si

kabhi gumsum si khamosh si
aur phir kabhi ek inqalaab si

dil ke alfaazon aur harf se
bhari hui si ye ek kitaab hai

kuch ajeeb si hai yeh zindagi
kuch sawaal si kuch jawaab si

jaisi bhi hai ye meri zindagi
hai yeh bahot hi lajawaab si

Tuesday, 20 April 2010

IK SILSILA

mere kadmon se tere rehguzar ka silsila mile
zindagi se phir ru-ba-ru hone ka haunsla mile

un muskuraati aankhon k harf joh padh loon
toh mujhko bhi phir khushiyon ka kaafila mile

ik aisi chaon jahaan sukoon ho mere dil mein
tanhaaiyon ki dhoop se kabhi toh faasla mile

woh jo hawaaon ki tarah meri saanson mein hain
un k dil mein dhadkanon ki tarah daakhila mile

yeh jaagti aankhein us k khwaab dekhti rahin
kabhi woh bhi meri khayalon mein mubtila mile

Tuesday, 13 April 2010

ZAAHIR-E-JUNOON

mujhko gham nahi hai us k na aane ka
shayad use khauff raha ho zamaane ka

ye intezaar mera shauq nahi hai lekin
ik junoon hai dil mein usko paane ka

har woh waqt jab uska saath rehta hai
raqs hai un lamhon k guzar jaane ka

chaahat zubaan se keh k zaahir nahi
mujhe khwaahish hai uspe mit jaane ka

jis kooche se uska dayaar nazar aaye
bas wahi jagah ho mujhko dafnaane ka

Thursday, 1 April 2010

KHWAAHISH-E-TANHAAI

Kuch bandishon se khud ko rihaa karoon
Kahin jaa k tanhaaiyon mein panaah loon

Woh kar k nek amal uska sila maangte hain
Issey toh behtar hai k main gunaah karoon

Is hayaat ka tajurba zaroorat se zyaada hua
K ab khud ki ye shaksiyaat ko fanaa karoon

Zindagi mein meri kuch is tarah nayeem hui
Ab toh bas main tumhaare liye hi duaa karoon

SHIDDAT-E-ISHQ

Unse ishq kar baithe, unko khabar hi nahi
Shayad is chaahat ka unper asar hi nahi

Khuli aankhon se un k khwaab dekhta hoon
Un k khayaalon k bagair meri raat basar hi nahi

Meri manzil bhi woh, mera raasta bhi woh
Ab mere liye koi aur rehguzar hi nahi

Hai mere har jahaan mein ek wahi shaamil
Kisi aur kaaynaat per meri nazar hi nahi