Kuch bandishon se khud ko rihaa karoon
Kahin jaa k tanhaaiyon mein panaah loon
Woh kar k nek amal uska sila maangte hain
Issey toh behtar hai k main gunaah karoon
Is hayaat ka tajurba zaroorat se zyaada hua
K ab khud ki ye shaksiyaat ko fanaa karoon
Zindagi mein meri kuch is tarah nayeem hui
Ab toh bas main tumhaare liye hi duaa karoon
Thursday, 1 April 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Aap ki sher to didn b din behtar hue ja rahe hain.
ReplyDelete"Zindagi mein meri kuch is tarah nayeem hui
Ab toh bas main tumhaare liye hi duaa karoon "
sundar prastuti...
Aapne apne bhavnaon ko bahut hi sundar sa aakar diya hai.
Very nice..
God bless u.
shukriya roshani :)!! thanks for reading my posts and for the nice comments :)
ReplyDelete