Tuesday, 13 April 2010

ZAAHIR-E-JUNOON

mujhko gham nahi hai us k na aane ka
shayad use khauff raha ho zamaane ka

ye intezaar mera shauq nahi hai lekin
ik junoon hai dil mein usko paane ka

har woh waqt jab uska saath rehta hai
raqs hai un lamhon k guzar jaane ka

chaahat zubaan se keh k zaahir nahi
mujhe khwaahish hai uspe mit jaane ka

jis kooche se uska dayaar nazar aaye
bas wahi jagah ho mujhko dafnaane ka

1 comment:

  1. "jis kooche se uska dayaar nazar aaye
    bas wahi jagah ho mujhko dafnaane ka "
    aisa kyon kahte ho dost..
    bahut hi acchi rachna..
    aankhon me kuch nami si aa gaii..
    :)

    ReplyDelete