Tuesday 20 April 2010

IK SILSILA

mere kadmon se tere rehguzar ka silsila mile
zindagi se phir ru-ba-ru hone ka haunsla mile

un muskuraati aankhon k harf joh padh loon
toh mujhko bhi phir khushiyon ka kaafila mile

ik aisi chaon jahaan sukoon ho mere dil mein
tanhaaiyon ki dhoop se kabhi toh faasla mile

woh jo hawaaon ki tarah meri saanson mein hain
un k dil mein dhadkanon ki tarah daakhila mile

yeh jaagti aankhein us k khwaab dekhti rahin
kabhi woh bhi meri khayalon mein mubtila mile

1 comment:

  1. Bahut hi acchi panktiyan Nayeem. yah wali line
    "un muskuraati aankhon k harf joh padh loon
    toh mujhko bhi phir khushiyon ka kaafila mile" bahut hi pyari hai.
    "woh jo hawaaon ki tarah meri saanson mein hain
    un k dil mein dhadkanon ki tarah daakhila mile"
    wah! kya baat hai.
    bahut hi badiya
    itnini acchi rachna ke liye aapko badhaii...

    ReplyDelete