Saturday 31 July 2010

DAAR-O-MADAAR

ye bojh kaandhon per jaane kaisa hai
ki dum ka ghut k mar jaane jaisa hai

ab zanjeeron mein bhi jakda hua hoon
ki zindagi kuch qaidkhaane jaisa hai

kyun kar mujh per zimmedaari mubtila
phir zabardasti inhe nibhaane jaisa hai

ghir gaya hoon duniya ki bandishon mein
ye jaan boojh kar mujhe fasaane jaisa hai

chaah kar bhi muh pherna mumkin nahi
halaat gham mein bhi muskuraane jaisa hai

4 comments:

  1. Wah wah! Kya khoob kaha aapne halat gam me bhi muskurane jaisa hai....
    par dost agar gam me hamsafar ka sath ho to gam bhi pyara lagne lagta hai.
    bahut hi acchi rachna ek aam aadmi ki halat ko bayan karti sundar post ke liye aapko bahut bahut badhaii Nayeem ji.
    Hamari duayen hain ki aage bhi aap isi tarah nit nai rachna ka srijan karen. par aapse ek nivedan hai ki aapki rachna me sada aasha aur umang ki hi taswir dikhai de.

    ReplyDelete
  2. thank u roshani :) i will keep ur advise in my mind dost :)

    ReplyDelete
  3. bahut hi acchi rachna ek aam aadmi ki halat ko bayan karti

    ReplyDelete