kuch khayaalon ko falak mein baadlon per rakh diya
aur kuch khwaabon ko band palkon mein dhakh liya
itni khushiyan mujh ko pehle kabhi nahi thi haasil
dil-fareb ho kar kabhi maine taqdeer per shakh kiya
koi izhaar kar raha hai raaz-e-dil aksar mujh se
jaane kis ne mujh ko kis ummeed mein ye haq diya
kitne hi zakhm khaaye aur kitne hi gham qabool hue
kisi junoon mein phir zindagi aakhri saans takh jiya
Friday, 30 July 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
"kitne hi zakhm khaaye aur kitne hi gham qabool hue
ReplyDeletekisi junoon mein phir zindagi aakhri saans takh jiya "
kya baat hai dost! sundar bhavnatmak pantiyon ki rachna ke liye aapko badhaii.
Toooooooo gud................. Apni Girl Friend ko bhej do... she ll be happy[:-P]
ReplyDeletethank you roshani and cuty for ur comments ! glad to know your views regarding this poem :)
ReplyDelete