Thursday, 30 December 2010

EK EHSAAS

in sard sard hawaon se jism mein ik sihran si hai
kuch teri qurbat k aagosh mein dil ki dhadkan bhi hai

ru ba ru izhar karoon ya khamoshi ikhtiyaar karoon
zehen-o-khayaal mein kuch is tarah ki uljhan bhi hai

ye suna rakha hai maine k ishq ik aag ka dariya hai
magar kisi k chahat ki mehek se dil gulshan bhi hai

kehte hain k umr beet gayi muhabbat ko smajhne mein
aur phir kabhi kabhi ye ehsaas jaise daffatan bhi hai

DIL BEZUBAAN HUA

us k lab ne jo na kaha us ki nigaahon ne bayaan kiya
apne khayaalon ko meri tanhaaiyon ka paasbaan kiya

woh dil ka sukoon bhi aur dil ki bekaraari bhi wahi
uski chaahat ne mujh ko har kadam per hairaan kiya

dard-o-gham uski qurbat mein ek naya ehsaas de gaye
us ne khushiyaon ko meri zindagi ka nigehbaan kiya

ab jo woh bhi jaanne lage hain is dil k har raaz ko
humne zubaan ko khamosh aur nigaahon ko bezubaan kiya

Thursday, 23 December 2010

NAZAR-E-INAYAT

uski nazron se shayad woh awaaz aati rahi
meri mohabbat ko ik naya agaaz dikhaati rahi

us se meri khushiyon mein izaafa hota raha
aur woh mere ghamon se aitraaz jataati rahi

ishq jaane kaise zindagi mein shaamil hua
uski wafa kuch is tarah andaaz dikhaati rahi

uski paakeezgi zehen mein yun utarti gayi
woh ban k dua mere har namaaz mein aati rahi

Saturday, 23 October 2010

MEHEKTI BAATEIN

us k baaton ki mehek kuch yun khushnuma aise
k woh ho baad-e-saba jannat k gulistaan jaise

woh hain humdard zara aur thode humkhayal bhi
thode se meherbaan bhi aur zara rehnuma jaise

un k ru ba ru dil ko mein hai ye sukoon kaisa
un ka saath ka aalam zameen-o-aasmaan jaise

har gham-o-dard zehen se door nikal jaata hai
woh khushiyon se kar dete hain badghuma aise

Thursday, 14 October 2010

KHAMOSH NAZAR

woh khamosh nazar kuch anjaan alfaaz keh jaati hai
aur kuch baatein dhadkanon mein dabi reh jaati hai

raat bhar us k khwaabon ka ek silsila sa rehta hai
uski yaadon mein phir muskuraati hui subah aati hai

us k pehlu mein hi dil ko sukoon ka ehsaas hota hai
us k aagosh mein meri har takleef bhi beh jaati hai

uski aarzoo uski justuju meri zindagi ki ummeed hai
us k rehguzar se hi mere khushiyon ki wajah aati hai

us k soch bhar se hi rooh tak ko sukoon mil jaata hai
woh mere khayaalon mein khushboo ki tarah chaati hai

Wednesday, 13 October 2010

BADGHUMAAN

is duniya k paar maine ek aur jahaan dekha hai
kuch is tarah wahan ghamon ka inteha dekha hai

badalon k darmiyaan ummeed ki roshni chup si gayi
jahaan lahoo mein sisakta hua aasmaan dekha hai

khushiyon ki chaadar jaise k ek kafan si ban gayi
khud apni chita se uthta hua dhuaan dekha hai

ye hua hai k har khwaahishein dafn si ho gayi
khud ko apni hi hasraton se badghumaan dekha hai

Tuesday, 12 October 2010

MERI ISHQ KI

ye meri ishq ki kuch aisi kahaani si hai
mohabbat nafs mein ban k ik rawaani si hai

ye bekhudi hai ya phir ankhon ka khwaab sa
kuch ajeeb si ab ye meri zindagaani si hai

in kadmon ka silsila bhi ab falak tak hai
dil per chaayi ghata bhi kuch aasmaani si hai

shairaana si hone lagi hai ab har soch bhi
lafzon ki ada bhi kuch kuch romaani si hai

kabhi ek pal ek sadi kabhi ek sadi ek pal hai
waqt ki rehguzar bhi thodi si deewani si hai

ek ehsaas jehannam si toh kabhi jannat si hai
kabhi pareshaani hai kabhi meherbaani si hai

kuch maloom nahi aur kuch samajh aata nahi
phir bhi dhadkanon ki har mausam suhaani si hai

Wednesday, 1 September 2010

WOH JOH HAI

mere gham ka sabab wahi aur wahi khushi ki wajah
mere har waqt mein shaamil, raat wahi, wahi subah

dhadkanon k dastak se saason ki dehleez tak chala
uski talaash mein ye zindagi ka kaafila har jagah

haqeeqat aur fareb k darmiyaan khwabon ka silsila
is kashmakash se khud ko nijaad dilaaoon kis tarah

dil ka zakhm bhi wahi aur wahi rooh ka marham bhi
woh mere sukoon ka zariya, wahi har gham ki dawah

Monday, 30 August 2010

BOLTA CHEHRA

us k chehre per likha har harf padh raha hoon main
ishq ka ik naya kitaab gadh raha hoon main

dil-e-gulistaan us k mehek se roshan sa hai
us k ijaazat se us k kareeb badh raha hoon main

mere zehen per us k khayalon ki bekhudi si hai
khud se apne hosh-o-khabar k liye ladh raha hoon main

us ko le kar armaanon k kitne khwaab sajaaye hain
un khwaahishon ko haqeeqat k zewar mein jadh raha hoon main

IK NAYA KHWAAB

nigaahon mein ab naya naya sa khwaab hai
pehlu mein jaise k ik surkh aaftaab hai

dil ka baaghbaan phir se mehek raha hai
kaanton k darmiyaan khil raha ik gulaab hai

kaise bayaan karoon apni har aarzuon ko
arsh tak ufan raha hasraton ka sailaab hai

sirf us k khayalon se hai rooh pursukoon
k bas yahi hai jo mera maal-o-asbaab hai

us k bagair ab koi bhi khwaahish nahi hoti
jo wo maujood hai toh zindagi kaamyaab hai

Thursday, 19 August 2010

USKI BAATEIN

kuch aisi aur kuch waisi uski jo baatein hain
tanhaai mein ek ajeeb ehsaas de jaate hain

har pal har ghadi bas yahi sochta rehta hoon
har woh lafz jo chup k se mujhse farmaate hain

uski guftugu ka andaaz bhi kuch is tarah ka hai
k us k ashaar dil se rooh tak utar aate hain

uski awaaz mein jaise koi jaadoo sa hai shayad
jis ko sun kar hum har gham bhool jaate hain

Saturday, 14 August 2010

WAFA

dil ki kaifiyat wafa k guzar jaane jaise
k woh ab mera na raha khud ye maane kaise

ab akeedat aur eemaan bhi fana hone ko hai
masjidein bhi lagne lagin butkhaane jaise

girebaan se aasteen tak kuch khushq sa hua
jab ashq chalakne se lage paimaane jaise

hosh gum sa hua aur khud ki khabar na rahi
ab hum bhi thode se ho gaye deewaane jaise

Saturday, 31 July 2010

DAAR-O-MADAAR

ye bojh kaandhon per jaane kaisa hai
ki dum ka ghut k mar jaane jaisa hai

ab zanjeeron mein bhi jakda hua hoon
ki zindagi kuch qaidkhaane jaisa hai

kyun kar mujh per zimmedaari mubtila
phir zabardasti inhe nibhaane jaisa hai

ghir gaya hoon duniya ki bandishon mein
ye jaan boojh kar mujhe fasaane jaisa hai

chaah kar bhi muh pherna mumkin nahi
halaat gham mein bhi muskuraane jaisa hai

Friday, 30 July 2010

KHWAAB-O-KHAYAAL

kuch khayaalon ko falak mein baadlon per rakh diya
aur kuch khwaabon ko band palkon mein dhakh liya

itni khushiyan mujh ko pehle kabhi nahi thi haasil
dil-fareb ho kar kabhi maine taqdeer per shakh kiya

koi izhaar kar raha hai raaz-e-dil aksar mujh se
jaane kis ne mujh ko kis ummeed mein ye haq diya

kitne hi zakhm khaaye aur kitne hi gham qabool hue
kisi junoon mein phir zindagi aakhri saans takh jiya

Monday, 26 July 2010

IBTIDA

aaj se phir main ek naya aagaaz karta hoon
apne dhadkaonon me nayi saaz bharta hoon

ek naam ko apne haatheliyon per likh kar
rooh tak ban k phir woh awaaz utarta hoon

saher se maghrib tak ek khayaal mein phir
shab mein us k khwaab mein parwaaz karta hoon

ishq, mohabbat, chaahat ki duniya se alag
apne jahaan mein ibaadat ka naya rivaaz karta hoon

Friday, 9 July 2010

KHWAHISHEIN

apne jazbaaton ko har bandishon se riha karoon
aur zindagi ko apni khwaahishon pe fida karoon

ab qaid mein mere dil ko zara bhi nahi sookoon
har dard-o-gham se khud hi khud ka shifa karoon

ye aarzoo hai ki meri parvaaz kuch falak tak ho
phir wahan se apni chaaon zamin ko diya karoon

aur iska aagaaz jitni jaldi ho jaaye behtar hai
k ab khuda ka naam le kar main ibtida karoon

Saturday, 3 July 2010

EK NAZAR

jo maine apne girebaan pe nazar kiya
is dil ne phir mujhko ye khabar kiya

k umr bhar nekiyon k gaflat mein reh
yeh zindagi gunaahon mein basar kiya

aur aaftaab ko baadalon mein chupaya
phir taaron se andhere ko sahar kiya

ab ashq k baarishon ka mausam bhi ho
ye qaaynaat se aarzuoon ne zikar kiya

eent patharon k makaanon ko dafn kar
khwaabon k aashiyaan mein apna ghar kiya

Thursday, 24 June 2010

AUR KYA

hanso aur muskura k apne dil ko behlao aur kya
aarzuein karo or kuch khwaabon ko sajao aur kya

kuch mere ishq ko dil k kareeb mehsoos karo
aur kuch apni muhabbat humko batao aur kya

do kadam aap mere saath ho kar chalo
mujhe jeene ki ek nayi raaah dikhaao aur kya

kuch tumhaari nazron ki zubaan ko padhoon
aur mujhko zindagi ka maksad samjhao aur kya

Monday, 21 June 2010

BEHROOPIYA

apni zindagi mein jo mera khud ka dakhl hai
ek ajeeb sa chehra hai kuch ajeeb shakl hai

kayi kirdaar mere is zindagi per haavi hain
ye kuch bhool sa gaya hoon jo wajood asl hai

khud ko samajhne ki koshishein nakaam rahin
kuch toh dil bedard hai kuch soch be akl hai

jaan k bhi kyun main haqeeqat se anjaan hoon
hijaab mein choopa hua hai jo chehra asl hai

jo mujh per ye nematein aur rehmatein hain
yakeen hai is zindagi mein khuda ka fazl hai

jo sahi hain woh khwaahishein mukammal hain
aur apne hi haathon kuch aarzuon ka katl hai

DARAKHTON KI CHHAON MEIN

darakhton ki chhaon mein
main apne puraane gaon mein

suraj ki narm dhoop mein
khushbu bhari hawaaon mein

oonche parvaton ko choote hue
kaaley ghane ghataaon mein

zara khud se zyaada kareeb
apne dil ki duaaon mein

manzil k kuch aur nazdeek
nayi taaqat hai ab paaon mein

mukammal honge har khwaab
ek junoon hai ashaaon mein

aur inqalaab ki mashaal hai
har dabi hui ichchao mein

SATRANGI SUBAH

ek satrangi subah phir se sehra mein ubhar rahi hai
baarish k boondon se ho k zameen per bikhar rahi hai

baadalon k darmiyaan kehkashaan ki raushaniyon mein
ummeed ki ghataon tale nayi zindagi nikhar rahi hai

ab toh waqt bhi tham sa raha hai do pal ye soch kar
jaise k is sama k aagey phir koi rehguzar nahi hai

main ab aaj ki kurbat mein kal ko bhoola raha hoon
lag raha hai k ab mujhe nakaamiyon ka darr nahi hai

phir anjaam ka silsila chaahe kuch bhi kyun na ho
ek sukoon mein mubtila hoon kal ki khabar nahi hai

Friday, 4 June 2010

CHAAHATEIN !

koi chaahta hai yahaan ishq aur pyaar karna
mohabbat ki bandishon mein giraftaar karna

ye aarzooein kahin ehsaas ko jhulsa na dein
waqt rehte khwaahishon per ikhtiyaar karna

koi khwaabon mein aa k neend chura leta hai
haqeeqat aur fareb k darmiyaan deewaar karna

ye suna hai k ummeed pe duniya qaayam hai
lekin jhooti tasalliyon ko darkinaar karna

duniya k diye hue zakhmon ko bharne k liye
apne aashiyaan ko kabhi charahgaar karna

ye sach hai k taqdeer saath nahi deti hai
dekho kismat per kabhi bhi na aitbaar karna

jo musaafir hai uska toh har lamha safar hai
aise shaqs ka na raah takna na intezaar karna

Tuesday, 1 June 2010

ZINDAGI !

zindagi! tujhe jeene ki naseehat koi hogi
joh jee na sakengey toh fazeehat koi hogi

tu kabhi fareb si hai kabhi khwaab si hai
shaayad kisi aur k liye haqeeqat koi hogi

dil ko tujh per yakeen dilaaoon toh kaise
mujh ko nahi kisi aur ko aqeedat koi hogi

thokaron se seekha hai maine sambhalna
kisi aur per kitaabon ki tarbeeyat koi hogi

main mashgool hun badgumaaniyon mein
is duniya k liye aur ki shakseeyat koi hogi

Friday, 7 May 2010

EK AJEEB KOSHISH

zameen se thoda uper aur aasmaan se thoda neeche
nakaamyaabi se zara aagey kamyaabi k thoda peeche

dil mein ufante leher se khwahishon k ehsaas ko
kabhi thoda sa chodein kabhi thoda sa kheenche

haar bhi jaayein agar toh usse haunsla jeetein
koshishon se ummeed ko mutthiyon mein bheenche

zindagi ki raah phir shayad thodi aasaan si hogi
jo muskura kar iski banjar si zameen ko seenche

jeene ka saleeka doosron ko zindagi de kar mila
k is sukoon se roshan hue zeheneeyat k gareeche

Thursday, 6 May 2010

MANN MAYURA

mann mayura thhak raha badal ghanghor
aankhein dekhti is oar toh kabhi us oar

garajti hui ghata aur chamakti si bijli
us per phir chalte hue pawan ka shor

vyaakul hriday ek kwahish sanjoti rahi
ki rimjhim boondein barsein is chhor

saath baarish k baadal bhi kheench loon
agar bana loon amber se dharti tak dor

haule haule tapakti motiyon si boondein
ye mausam ban raha dharti ka sirmaur

harshit ho kar nritya mein magn hoon
samast vatavaran hua aanand vibhor

Wednesday, 5 May 2010

JUNG-E-ZINDAGI

zindagi jaise ke ik jung si aur woh ek sipaahi hai
manzil ki talaash mein bhatakta hua woh raahi hai

kuch adhoori hasratein dilon ko kachot si rahi hai
kyunki har aarzoo ko mukammal karne ki manaahi hai

aansuon ki boondein khushiyon ki kabhi ghamon ki
rooh ko bhar rahi hai jaise ki woh ek suraahi hai

koshishein rehti hain ki kar loon sabr ko haasil
belgaam khwahishein hi dard hain aur tabaahi hai

Saturday, 1 May 2010

PAANI

paani behti jaati hai
paani pyaas bujhaati hai

aankhon se ho kar
mann ko halka kar jaati hai

kabhi ye ban k nadi
kinaaron ko milaati hai

kabhi baadalon se ho kar
zameen per baras jaati hai

aur in baarishon se phir
khet mein fasal lehlahaati hai

yahi saagar bhi hai jahaan
seep mein dhal k moti ban jaati hai

yehi kashtiyaan, nao aur jahaaz ko
dariya se manzil tak pahunchaati hai

kabhi sard barf hai kabhi garm bhaap
ye har shai mein khud dhal jaati hai

ye jharna bhi hai sailaab bhi hai
kabhi dilkash kabhi maut ban jaati hai

paani iska koi rang nahi roop nahi
phir bhi zindagi ka zariya kehlaati hai

paani iski har boond ki keemat hai
kisi kisi ko hi ye samajh mein aati hai

paani ki har boond bahumulya hai, aur jeevan ki raksha k liye jal sanrakshan ati avashyak hai (Water Conservation is very very important, so conserve water to preserve life)

Thursday, 29 April 2010

YEH ZINDAGI !

ye zindagi hai ek khwaab si
ek sawaab si aur ek azaab si

ek gulistaan si ek baghbaan si
kahin kaanton si kahin gulaab si

kabhi hoton k muskurahat si
aur kabhi aansuon k sailaab si

kabhi kabhi ye ek sazaa bhi hai
aur kabhi zindagi ek khitaab hai

kuch nafa si kuch nuksaan si
jaise k tijaarat k hisaab si

kabhi andheron mein shama si
aur kabhi din mein aaftaab si

kabhi gumsum si khamosh si
aur phir kabhi ek inqalaab si

dil ke alfaazon aur harf se
bhari hui si ye ek kitaab hai

kuch ajeeb si hai yeh zindagi
kuch sawaal si kuch jawaab si

jaisi bhi hai ye meri zindagi
hai yeh bahot hi lajawaab si

Tuesday, 20 April 2010

IK SILSILA

mere kadmon se tere rehguzar ka silsila mile
zindagi se phir ru-ba-ru hone ka haunsla mile

un muskuraati aankhon k harf joh padh loon
toh mujhko bhi phir khushiyon ka kaafila mile

ik aisi chaon jahaan sukoon ho mere dil mein
tanhaaiyon ki dhoop se kabhi toh faasla mile

woh jo hawaaon ki tarah meri saanson mein hain
un k dil mein dhadkanon ki tarah daakhila mile

yeh jaagti aankhein us k khwaab dekhti rahin
kabhi woh bhi meri khayalon mein mubtila mile

Tuesday, 13 April 2010

ZAAHIR-E-JUNOON

mujhko gham nahi hai us k na aane ka
shayad use khauff raha ho zamaane ka

ye intezaar mera shauq nahi hai lekin
ik junoon hai dil mein usko paane ka

har woh waqt jab uska saath rehta hai
raqs hai un lamhon k guzar jaane ka

chaahat zubaan se keh k zaahir nahi
mujhe khwaahish hai uspe mit jaane ka

jis kooche se uska dayaar nazar aaye
bas wahi jagah ho mujhko dafnaane ka

Thursday, 1 April 2010

KHWAAHISH-E-TANHAAI

Kuch bandishon se khud ko rihaa karoon
Kahin jaa k tanhaaiyon mein panaah loon

Woh kar k nek amal uska sila maangte hain
Issey toh behtar hai k main gunaah karoon

Is hayaat ka tajurba zaroorat se zyaada hua
K ab khud ki ye shaksiyaat ko fanaa karoon

Zindagi mein meri kuch is tarah nayeem hui
Ab toh bas main tumhaare liye hi duaa karoon

SHIDDAT-E-ISHQ

Unse ishq kar baithe, unko khabar hi nahi
Shayad is chaahat ka unper asar hi nahi

Khuli aankhon se un k khwaab dekhta hoon
Un k khayaalon k bagair meri raat basar hi nahi

Meri manzil bhi woh, mera raasta bhi woh
Ab mere liye koi aur rehguzar hi nahi

Hai mere har jahaan mein ek wahi shaamil
Kisi aur kaaynaat per meri nazar hi nahi

Sunday, 28 March 2010

IS REHGUZAR KA SAFAR

Is rehguzar ka safar kahaan tak
Shayad zameen se aasmaan tak

Chingaari raakh tale sulagti rahi
Hawaon mein aakhri dhuaan tak

Kuch alfaaz dafn ho k reh gaye
Dil se ho k aate aate zubaan tak

Waqt aur taqdeer saath na rahe toh
Raqeeb ho jaate hain rehnumaan tak

dil k jazbaat zaahir na ho nayeem
mita chalo un k aakhri nishaan tak

Thursday, 18 March 2010

BADGUMAAN DIL

dil kuch badgumaa sa hai
jaise k koi rehnumaa sa hai

gaafil hai haqeeqat k pehlu se
mausam abhi khushnumaa sa hai

hai ye qurbat bhi ek hijr ki tarah
k kuch faasla ab bhi darmiyaan sa hai

log meri mayyat mein yun shaamil hue
jaise k din aaj ka jumaa sa hai

Saturday, 13 March 2010

EK AUR MARZ

ummeed ki vaslehat khushiyon se inkaar mein nahi
zindagi jeene ka maza maut k intezaar mein nahi

khamosh sa har guzarte lamhe ko dekhta hoon
jaise k kuch bhi ab mere ikhtiyaar mein nahi

teri dehleez k siwa is dil ko kahin sukoon nahi
k aisi taufeeq kisi aur dar-o-dayaar mein nahi

khud ka marz khud hi ab shafa kar nayeem
k iska ilaaj bhi kisi aur charahgaar mein nahi

Monday, 8 March 2010

BAATEIN ANKAHI

Kuch baatein ankahi bhi kabhi kabhi suni hui si lagti hai
Kuch fasaane haqeeqat k dhaagon se buni hui si lagti hai

Aur in chadaron mein khud ko chupa k rakhne ki chahat
Aksar kisi fakir k pehlu mein kabhi dhuni hui si lagti hai

Is awaaz k peeche main khud ko bhagta hua paata hoon
Jaise khwahishon mein iski hasrat chuni hui si lagti hai

Phir meri haanpti saasein aur bedam si hoti dhadkanein
Is duniya ko shayad humesha hi ansuni hui si lagti hai

Sunday, 14 February 2010

MOHABBAT

Kehte hain mohabbat ibaadat hai
Kisi k dil-o-jaan ki shahaadat hai

Ab toh zindagi ka hashr jo bhi ho
Ishq ko dard-o-gham ki aadat hai

Haqeeqat se bezaar tabiyat si hai
Khwaabon se rooh ko raahat hai

Hosh aur khayal se bekhabar hai
Jashn-e-aashiqui toh qayaamat hai

Wednesday, 10 February 2010

INTEZAAR

ek intezar zindagi k shuru se khatm hone tak
khushiyon mein izafa aur gham k kam hone tak

phir khaamosh zubaan k alfaazon se nikal kar
kuch pathrai hui si nigaahon k nam hone tak

joh zinda buton k saaye mein kaafir ho gaya
us kufr ka phir ek mazhab ek dharm hone tak

sunte hain ki dard hadh se badh kar dawa hai
aur fir se is haqeeqat ka ek bharam hone tak